skip to main
|
skip to sidebar
Funny Hindi Sms Sad Hindi Sms Love Sms Best Indian Sms
Funny Hindi Sms Sad Hindi Sms Love Sms English Sms all best Indian Sms all Latest
Home
About
Contact
Log In
Home
Log in
About us
Contact us
Add New
Tuesday, June 30, 2009
Log kahte hai ki
Log kahte hai ki itna pyaar mat karo,
Ki pyaar dil par sawaar ho jaaye,
Ham kahate hai pyaar aisa karo ki,
Dushman ko bhi tumse pyaar ho jaaye.
Aapse mulakaat ki
Aapse mulakaat ki ek azab nishaani hai,
Hasate-hasate aakhen bhar aati hai,
Zindagi me ho chaahe kitni pareshani,
Aapke saaye me har mushkil aasaan nazar aati hai.
Aasoo tera nikle
Aasoo tera nikle aankh meri ho...
Dil tera dhadke to dhadkan meri ho...
Khuda kare dosti hamaari itani gahari ho
Joote aapko pade aur kartoot meri ho.
Ek family shole
Ek family shole dekhne aai pati patni
Ae romanticly bola, "naach basanti naach"
Tabhi bacha chilaya-"mummy is kutte ke samane mat nachna.
Ye jo ladkiyo
Ye jo ladkiyo ke baal hote hai,
Ladko ko fasaane ke jaal hote hai,
Khoon choos leti hai ladko ka saara,
Tabhi to inke hoth laal hote hai.
Kaash dil ki
Kaash dil ki aawaaz me itna asar ho jaaye,
Ham aapko yaad kare aur aapko khabar ho jaaye.
Mohabbat bhi kya
Mohabbat bhi kya cheez hai...
Na chain isme...na karaar isme,
Dil rahe bekaraar isme...
Dilbar agar chod jaaye o,
Zindagi bekaar isme...
Kuch vaade bhi the
Kuch vaade bhi the... kuch iraade bhi the...
kuch hasrate bhi thi... kuch chaahte bhi thi...
Hua karte the ham bhi kisi ke kabhi,
Koi hamdam hamaare bhi the.
Zindagi nahi hame
Zindagi nahi hame doston se pyaari,
Dosto pe haazir hai jaan hamaari,
Aakhon me hamaare aansu hai to kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskuraahat tumhaari.
Zindagi kisi ki
Zindagi kisi ki amaanat nahi hoti,
Amaanat me kabhi khayaanat nahi hoti,
Dil ko sambhaalkar rakhna dost,
Meri dosti ki kaid me, zamaanat nahi hoti.
Tum mujhe bhula
Tum mujhe bhula na paaoge,
Is kadar ham tumhe yaad aayenge...
Yakeen na aaye to aaine me dekhna,
Teri aakhon me ham nazar aayenge.
Mausam ki bahaar
Mausam ki bahaar achi ho,
Phoolon ki kaliya kachi ho,
Hamaare ye rishte sache ho,
Rab tere se bas ek dua hai ki,
Mere yaar ki har subah achi ho.
Daulat aur shauharat
Daulat aur shauharat sabke paas hai,
Khushiyaa aur gam sabke naseeb me hai,
Pyaar aur nafarat sabke dil me hai,
Par khushnaseeb hai ham, jo tum jaisa dost hamaare paas hai
Ye dosti ke rishte
Ye dosti ke rishte bhi ajeeb hote hai,
Sabke apane-apane naseeb hote hai,
Rahte hai jo nigaaho se door,
Vahi sabse kareeb hote hai.
Yaad karte hai
Yaad karte hai yaaro ko,
Yaadon se dil bhar aata hai,
Kabhi saath jiya karte the,
Lekin aaj milne ko dil taras jaata hai.
Teri dosti ki
Teri dosti ki taarif jubaan pe aane lagi,
Tumse dosti ki aur zindagi muskaraane lagi,
Ye mera pyaar tha ya teri achaai,
Ki meri har saans se tere liye dua aane lagi.
Aaj aap `jigar'
Aaj aap `jigar' bhi maangoge to ham denge,
`Dil' bhi maangoge to denge,
`Roti, kapada, aur makaan' bhi de denge,
Teeno filmon ki CD hai... aake le jaana.
Tumhaari yaad me
Tumhaari yaad me Taj mahal to kya,
Saara zahaan Chod jaayenge,
Aaj ham par hans lo,
Kal tumhe rota Chod jaayenge.
Hamari har khushi
Hamari har khushi ka ahsaas tumhaara ho,
Tumhaare har gam ka dard hamaara ho,
Mar jaaye to hamko koi gam nahi,
Bas aakhiri vakt tak saath tumhaara ho.
Ek hamara vakt
Ek hamara vakt hai,
Jiska ek bhi pal aapki yaad ke bina nahi jaata,
Aur ek aapka vakt hai,
Jisme hame yaad karne waala pal hi nahi aata.
Ek ajnabi se
Ek ajnabi se mujhe itana pyaar kyon hai,
Inkaar karne par chaahat ka ikraar kyon hai,
Use paana nahi meri takdeer me shaayad,
Phir har mod pe usi ka intzaar kyon hai.
Aakhon me rahne
Aakhon me rahne waalon ko yaad nahi karte,
Dil me rahne waalon se baat nahi karte,
Hamaari to rooh me bas gai ho aap,
Tabhi to ham milne ki fariyaad nahi karte.
Sawaal paani ka
Sawaal paani ka nahi, pyaas ka hai...
Sawaal maut ka nahi, saans ka hai...
Dost to duniya me bahut hai magar,
Sawaal dosti ka nahi vishvaas ka hai.
Ek chaand har
Ek chaand har roz nikalta hai,
Dene apni chaandni is andheri raat ko,
Is raat ko bhi is chaand se pyaar hai,
Par pata nahi ye dil kyon nahi Tikta,
Na jaane ise kis chaand ka intzaar hai.
Kuch kahte hai
Kuch kahte hai dosti pyaar hai,
Kuch kahte hai dosti zindagi hai,
Ham kahte hai ‘dosti’ dosti hai...
Jisse badakar na pyaar hai na hee zindagi hai.
Puch lo tum
Puch lo tum bhi is jamaane se,
Pyaar Chupta nahi Chupane se,
Paas aate ho, Chute ho, baat karte ho,
Kabhi matlab se, kabhi bahane se.
Hoti nahi mohabbat
Hoti nahi mohabbat soorat se,
Mohabbat to dil se hoti hai,
Soorat unki khud hi pyaari lagti hai,
Kadar jinki dil me hoti hai.
Kaanto me rahkar
Kaanto me rahkar bhi ham zindagi jee lete hai,
Har jakhm ko apane haatho se see lete hai,
Jis haath ko kah diya dost ka haath,
Ham us haath se zahar bhi pee lete hai.
Khuda se maine
Khuda se maine ek dua maangi,
Dua me apni maut maangi,
Phir khuda ne kaha maut to tujhe de du,
Par us dost ka kya karu, jisne teri lambi umar maangi.
Khuda ki banaai
Khuda ki banaai kudrat nahi dekhi,
Dilo me chupi daulat nahi dekhi,
Jo kahte hai ki dooriyo se mit jaati hai dosti,
Usne shaayad hamaari dosti nahi dekhi.
Jeevan me phal
Jeevan me phal paane ke liye,
Sharam karni padti hai,
Ishwar sif lakeere deta hai,
Rang khud hi bharna padta hai.
Aakhon ki jubaan
Aakhon ki jubaan samajh nahi paate,
Hoth magar kuch kah nahi paate,
Apni bebasi kis tarah kahe,
Koi hai jinke bin ham rah nahi paate.
Agar kabhi ham
Agar kabhi ham mar jaaye, to hame jala dena,
Magar pahle hamara dil nikaal lena,
Hame chinta nahi dil jaane ki,
Hame to chinta hai us dil me rahne wale ki.
Sitaro ke aage
Sitaro ke aage bhi koi jahaan hoga,
Jo na dekha kabhi vo shama hoga,
Us jahaan ke saare haseen najaro ki kasam,
Aap-sa kameena dost doosra kaha hoga.
E dost! sharaab
E dost! sharaab se na kar nafarat itni,
Ki peeni pade to pee na sake,
E dost! dost se na kar mohabbat itani ki,
Bichadna pade to jee na sake.
Monday, June 29, 2009
Aarzoo hai unko
Aarzoo hai unko apna banane ki,
Aas ab bhi hai unke laut aane ki,
Din-raat karte hai intzaar unka,
Ai khuda kuch to silaa mile mujhe vafa nibhane ka.
Jab tak hamaari
Jab tak hamaari soch me kuch faasla na tha,
Vo hamse door hoke bhi hamse juda na tha,
Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha,
Saamne baitha tha mere aur vo mera na tha.
Jaan hai mujhko
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar du kurbaan yaari,
Jaan ke kiye tod du dosti tumhaari,
Ab tumse kya Chupana... tum hi to ho na jaan hamaari.
Dil me sanam ki
Dil me sanam ki soorat, aakhon me aashqi de...
Dil me sanam ki soorat, aakhon me aashqi de...
Mere khuda mujhe tu... ek aur zindagi de...
Dil aisa lagao
Dil aisa lagao jo kabhi na hate,
Pyaas aise jagao ki kabhi na bujhe,
Zindagi ka maza aise lo jo kabhi na ruke,
Aur jeevan me aise jeeyo ki kabhi sar na jhuke.
Chand lamho ki
Chand lamho ki zindagi hai,
Nafrato se jiya nahi karte,
Dushmano se hi guzaarish karni padegi,
Ab to dost bhi yaad kiya nahi karte.
Apni bebasi par
Apni bebasi par aaj rona aaya,
Doosro ko kya maine apno ko aajmaya,
Har dost ki tanhaai door ki,
Lekeen khud ko har mod par akela paaya.
Aasmaan se uteri
Aasmaan se uteri hai, taaro se saji hai,
Chand ki chandni se nahaai hai,
Mere dost! sambhaal ke rakhna yah dosti,
Ye meri zindagi bhar ki kamaai hai.
Milna to ek bahaana
Milna to ek bahaana hai,
Irada to aapka ek lamha churana hai,
Aap chaahe hamse baat karo na karo,
Phir bhi aapki yaado me hamara aana-jaana hai.
`Marne' par hame
`Marne' par hame `swarg' mile ya na mile,
Ye hawa ye fiza mile ya na mile,
Ai mere dost SMS karne me `kasar' na karna,
Kya pata `narak' me `coverage' mile ya na mile.
Na pahlu me na
Na phulo me na bahaaro me, na botal me na jaar me,
Na bike me na car me, na peace me na war me,
Ab to din gujarte hai, tumhare SMS ke intzaar me.
Kar ja kuch aisa
Kar ja kuch aisa yaari me ki,
`Thanks' aur `sorry' shabd bejaan lage,
Nibha aisi yaari ko yaaro ki,
Ki tumhe Chodna mushkil aur duniya Chodna asaan lage.
Pyaar ke ujaale
Pyaar ke ujaale me gam ka andhera aata kyon hai,
Jisko ham chaahe vahi rulata kyon hai,
Agar vo mera naseeb nahi,
To khuda aise logo se milata kyon hai?
Bahut azeeb
Bahut azeeb-se lagte ho,
Dur rahkar bhi dil ke bahut karib lagte ho,
Maloom hai tumhe ham pa na sakege,
Phir kyon tum hame hamaare naseeb lagte ho.
Ek hansi jo
Ek hansi jo hansa de,
Ek aansu jo rulaa de,
Ek arzoo jo jagaa de,
Har aahat ko aahat jo jaan le...
Usi rishte ka naam hai...dosti!!!
E dost teri dosti
E dost teri dosti ke liye duniya Chod denge,
Ham teri taraf aaye har toofan ko mod denge,
Lekin tune jo saath Choda,
Kasam se teri haddiya tod denge.
Ek zara-si bhool
Ek zara-si bhool khata ban gai,
Meri vafa hi meri saza ban gai,
Dil liya aur khelkar tod diya,
Hamaare aansu nikle,
Aur ye unke hothon ki muskaan ban gai.
Jinki mohabbat
Jinki mohabbat sachi hoti hai,
Vo kab fariyaad karte hai,
Labon se to kuch nahi kahte,
Magar dilon se pyaar karte hai.
Jab se mile
Jab se mile hai tumse ham,
Saare gam bhula diye hamne,
Khushiya thi na naseeb me hamaare,
Phir bhi jeena sikha diya tumne.
Hausle dil me
Hausle dil me jab machalte hai,
Kuch naye raaste nikalte hai...
Dost ban gaye aap jabse,
Gam dur khade haath malte hai.
Kaash samajhte
Kaash samajhte vo is dil ki tadap ko,
To yu na hame roosva kiya hota...
Aapki yah berookhi bhi manjoor thi hame,
Bas ek baar hame samajh liya hota.
Zaruri nahi dosti
Zaruri nahi dosti me mulakaat hoti rahe,
Zaruri nahi ki baat hoti rahe,
Par jo zaruri hai vo bas yahi,
Ki dost ko meri dosti yaad aati rahe.
Apni zindagi se
Apni zindagi se kuch pal de de mujhe,
Aaj na sahi too apna kal de de mujhe,
Khushi de ya na de marzee teri,
Apna dukh aur dard tu chal de de mujhe.
Zindagi mohtaaz
Zindagi mohtaaz nahi manzilon ki,
Vakt har manzil dikha deta hai,
Marta nahi koi kisi se juda hoke,
Vakt sabko jeena sikha deta hai.
Khamosh se tum
Khamosh se tum rahane lage ho,
Intzaar kisi ka karne lage ho,
Yakeenan kisi se hui hai mohabbat,
Bina baat hi muskaraane lage ho.
Aapki dosti ka
Aapki dosti ka ek nazar chaahiye,
Dil hai beghar use ek ghar chaahiye,
Bas yu hi saath chalte raho ai dost,
Ye dosti hame umra bhar chaahiye.
Na saathi hai koi
Na saathi hai koi, na hamsafar hai koi,
Na ham kisi ke, na hamaara koi,
Par aapko dekhkar kah sakte hai ki,
Pyara-sa dost hamara bhi hai koi.
Armaan to bahut
Armaan to bahut hote hai is dil ke,
Par vo armaan poore nahi ho paate,
Jinhe chahte hai ham khud se bhi zyada,
Vo hi aksar armaano ko khaak kar jaate hai.
Intha ho gai
Intha ho gai...intazaar ki,
Aaya na SMS mere yaar ka,
Ye mujhe tha yakeen...kanjus vo nahi...
Phir vajah kya hui? intzaar ki...??
Gamjada subah meri
Gamjada subah meri udaas shaam hai,
Kya pyaar mere doston isi ka naam hai,
Dil sukoon ko rooh raahat ko tarasti hai,
Ye mod kaun-sa hai jisme meri jaan har mukaam par roti hai.
Hum to yu hi
Hum to yu hi bekhudi me kah baithe,
Ki hame koi yaad nahi karta...
Jiska ho tere jaisa dost,
Vo kabhi khuda se bhi phariyaad nahi karta.
Nishana jo le
Nishana jo le vo `shoorveer',
Nishane pe jo lag jaaye vo `teer',
Dil me jo utar jaaye vo `tasveer',
Mere jaise dost ka saath mil jaaye,
Vo `achi takdeer'.
Kitne haseen hai
Kitne haseen hai aap, khud ko duniya
Ki nazaro se bachaya karo...
Aakhon me chashma lagana kaafi nahi,
Gale me nimbu-mirchi bhi latkaya karo.
Dosti dil hai
Dosti dil hai dimaag nahi,
Dosti soch hai, awaaz nahi,
Koi aakhon se nahi dekh sakta dosti ke jazbe ko,
Kyonki dosti ehsaas hai, andaaz nahi.
Sabse acha uphaar
Sabse acha uphaar...zindagi,
Sabse acha ehsaas...khushi,
Sabse acha feeling...pyaar,
Sabse acha sambandh...dosti,
Sabse acha insaan...hum,
Sabse acha dost...tum.
Sham hote hi
Sham hote hi yah dil udaas hota hai,
Tute khwabon ke siva kuch na paas hota hai,
Aapki yaad aise vakt bahut aati hai,
Jab bandar koi aas-paas hota hai.
Kachi deewaar hu
Kachi deewaar hu thokar na lagana mujhko,
Apni najaro me basakar na girana mujhko,
Tumko aakhon me tasveer ki tarah rakhta hu,
Dil ki dhadkan ki tarah tum bhi basana mujhko.
Mulk ki bhi ek
Mulk ki bhi ek sarhad hoti hai,
Bachne ki bhi ek jid hoti hai,
Aur kitna intzaar karu tere SMS ka,
Are yaar kanjusi ki bhi ek had hoti hai...
Na jaane kyo abhi
Na jaane kyo abhi ek aansu aankh se jhalka,
Dil ko shayad tumhari yaad aayi,
Chahat hai itni tumse milne ki,
Haste hue bhi aankh bhar aayi...
American-"Hamare
American-"Hamare america me `war' ho gaya hai."
Santa- "hamare India me to roz hi `war' hota hai."
American-"vo kaise?"
Santa-"somvaar, mangalvaar, budhvaar..!!!"
Abe o buraai
Abe o buraai ke rasgulle, paap ki barfi,
Bevafaai ke laddu, matlabi gulaab jaamun,
Dhokhebaaz jalebi, badmaashi ke kalakand,
Tu bahut sweet hai re!
Har kali tujhse
Har kali tujhse khushbu udhaar maange,
Aafataab tujhse noor udhaar maange,
Rab kare tu dosti aisi nibhaaye,
Ki log mujhse teri dosti udhaar maange.
Aksar jab ham
Aksar jab ham unko yaad karte hai,
Apne rab se yahi fariyaad karte hai,
Umar hamaari bhi lag jaaye unko,
Kyonki ham unko khud se jyaada pyaar karte hai.
Jakhm dene ka
Jakhm dene ka andaaz kuch aisa hai,
Jakhm dekar poochate hai ab haalat kaisi hai,
Kisi ek se kya gila karna yaaro,
Saari duniya ka mijaaz ek-jaisa hai.
Saath Chod kar
Saath Chod kar kabhi hamse juda mat hona,
Vafa chaahiye tumse bevafa mat hona,
Rooth chaahe saari khudaai hamse magar,
Tum kabhi bhi hamse khafa mat hona.
Sahmi-sahmi nigaho
Sahmi-sahmi nigaho me khwaab ham jaga denge,
Sooni-sooni raaho pe phool ham khila denge,
Aap hamaare sang muskaraakar to dekho,
Aapka har gam ham bhula denge.
Kabhi puchte the
Kabhi puchte the ham yaaro se mohabbat
kaise hoti hai?
Aaj ye haal hai ki deewano ki mahfil me,
Sabse pahle ginti hamaari hoti hai.
Chiraago se andhere
Chiraago se andhere door ho jaate to,
Chand ki chahat kise hoti,
Kat sakti ye zindagi akele to,
Dosti naam ki cheez nahi hoti.
Chand ko taaron
Chand ko taaron ka saath hai,
Hame bhi kisi sahaare ki aas hai,
Palke bichaaye baithe hai ham tere intzaar me,
Tumhaare laut aane ki abhi bhi hame aas hai.
Hamaari to dua
Hamaari to dua hai koi gila nahi,
Vo gulaab jo aaj tak khila nahi,
Aapko har din vo sab mile,
Jo duniya me aaj tak kisi ko mila nahi.
Sunday, June 28, 2009
Beshak vo mere
Beshak vo mere khyaalon me khoyi hogi,
Ghar waalon ko batakar palke band karke soyi hogi,
Aankh me aansu to nahi,
Par vo meri yaad me jaroor royi hogi.
Ibadato ki tarah
Ibadato ki tarah me yah kaam karati hu,
Sabse pahle tumhe yaad karati hu,
Khuda ne diya hai yah ishq ka noor,
Yah saltanat me tumhaare naam karti hu.
Newer Posts
Older Posts
Home
Search this blog
Search
Contributors
Ganesh
Neha
karishma
latesh
neelam
prem
Blog Archive
▼
2009
(1065)
►
October
(40)
►
Oct 01
(40)
►
September
(105)
►
Sep 30
(15)
►
Sep 26
(30)
►
Sep 22
(10)
►
Sep 20
(50)
►
August
(56)
►
Aug 28
(1)
►
Aug 22
(10)
►
Aug 20
(20)
►
Aug 18
(25)
►
July
(380)
►
Jul 22
(12)
►
Jul 19
(3)
►
Jul 17
(50)
►
Jul 15
(50)
►
Jul 13
(35)
►
Jul 09
(21)
►
Jul 08
(44)
►
Jul 07
(49)
►
Jul 06
(1)
►
Jul 04
(50)
►
Jul 03
(47)
►
Jul 01
(18)
▼
June
(420)
▼
Jun 30
(35)
Log kahte hai ki
Aapse mulakaat ki
Aasoo tera nikle
Ek family shole
Ye jo ladkiyo
Kaash dil ki
Mohabbat bhi kya
Kuch vaade bhi the
Zindagi nahi hame
Zindagi kisi ki
Tum mujhe bhula
Mausam ki bahaar
Daulat aur shauharat
Ye dosti ke rishte
Yaad karte hai
Teri dosti ki
Aaj aap `jigar'
Tumhaari yaad me
Hamari har khushi
Ek hamara vakt
Ek ajnabi se
Aakhon me rahne
Sawaal paani ka
Ek chaand har
Kuch kahte hai
Puch lo tum
Hoti nahi mohabbat
Kaanto me rahkar
Khuda se maine
Khuda ki banaai
Jeevan me phal
Aakhon ki jubaan
Agar kabhi ham
Sitaro ke aage
E dost! sharaab
►
Jun 29
(50)
Aarzoo hai unko
Jab tak hamaari
Jaan hai mujhko
Dil me sanam ki
Dil aisa lagao
Chand lamho ki
Apni bebasi par
Aasmaan se uteri
Milna to ek bahaana
`Marne' par hame
Na pahlu me na
Kar ja kuch aisa
Pyaar ke ujaale
Bahut azeeb
Ek hansi jo
E dost teri dosti
Ek zara-si bhool
Jinki mohabbat
Jab se mile
Hausle dil me
Kaash samajhte
Zaruri nahi dosti
Apni zindagi se
Zindagi mohtaaz
Khamosh se tum
Aapki dosti ka
Na saathi hai koi
Armaan to bahut
Intha ho gai
Gamjada subah meri
Hum to yu hi
Nishana jo le
Kitne haseen hai
Dosti dil hai
Sabse acha uphaar
Sham hote hi
Kachi deewaar hu
Mulk ki bhi ek
Na jaane kyo abhi
American-"Hamare
Abe o buraai
Har kali tujhse
Aksar jab ham
Jakhm dene ka
Saath Chod kar
Sahmi-sahmi nigaho
Kabhi puchte the
Chiraago se andhere
Chand ko taaron
Hamaari to dua
►
Jun 28
(50)
Beshak vo mere
Ibadato ki tarah
►
Jun 27
(50)
►
Jun 26
(25)
►
Jun 23
(25)
►
Jun 22
(25)
►
Jun 21
(20)
►
Jun 20
(9)
►
Jun 19
(41)
►
Jun 18
(2)
►
Jun 16
(8)
►
Jun 14
(34)
►
Jun 12
(1)
►
Jun 07
(37)
►
Jun 06
(1)
►
Jun 05
(1)
►
Jun 04
(6)
►
May
(16)
►
May 25
(6)
►
May 21
(5)
►
May 18
(5)
►
February
(6)
►
Feb 15
(1)
►
Feb 14
(1)
►
Feb 13
(1)
►
Feb 12
(1)
►
Feb 11
(1)
►
Feb 10
(1)
►
January
(42)
►
Jan 31
(3)
►
Jan 16
(4)
►
Jan 15
(3)
►
Jan 11
(1)
►
Jan 10
(4)
►
Jan 09
(1)
►
Jan 08
(2)
►
Jan 07
(1)
►
Jan 06
(1)
►
Jan 05
(3)
►
Jan 04
(1)
►
Jan 02
(16)
►
Jan 01
(2)
►
2008
(192)
►
December
(35)
►
Dec 31
(2)
►
Dec 30
(2)
►
Dec 27
(6)
►
Dec 10
(5)
►
Dec 07
(9)
►
Dec 01
(11)
►
November
(133)
►
Nov 30
(17)
►
Nov 29
(1)
►
Nov 28
(10)
►
Nov 27
(7)
►
Nov 26
(8)
►
Nov 25
(4)
►
Nov 22
(14)
►
Nov 21
(5)
►
Nov 20
(13)
►
Nov 19
(11)
►
Nov 17
(2)
►
Nov 16
(8)
►
Nov 15
(1)
►
Nov 14
(14)
►
Nov 12
(9)
►
Nov 11
(4)
►
Nov 10
(1)
►
Nov 09
(1)
►
Nov 05
(2)
►
Nov 03
(1)
►
October
(1)
►
Oct 02
(1)
►
September
(23)
►
Sep 29
(4)
►
Sep 25
(3)
►
Sep 24
(4)
►
Sep 20
(12)
Labels
aap ki khushi hindi sms
(2)
Aap Ki Mohabbat Sms In Hindi
(65)
Ansu Bare Hindi Sms
(13)
Best Hindi Sms
(86)
Best Punjabi Sms
(1)
Bewafai Sms In Hindi
(66)
Bhawanatmak Hindi Sms
(2)
Borring Hindi Sms
(3)
Careless Sms
(1)
college hindi sms
(6)
Dard Bare Hindi Sms
(92)
Diwanepan Ke Hindi Sms
(161)
Dosti Hindi Sms
(266)
Dukh Bare Hindi Sms
(39)
English Hindi SMS
(3)
English SMS
(22)
Friendship Sms
(29)
Funny Hindi Sms
(77)
Good Wishes Hindi Sms
(1)
Happy Birthday To You Sms
(3)
Happy New Year Sms
(21)
hindi film sms
(1)
Hindi Jokes
(1)
Hindi Sms On Feelings
(16)
Hindi Sms on God
(2)
Hindi Sms On Zindagi
(7)
Insulting Sms
(4)
jindagi bhar saath hindi sms
(3)
Judai Hindi Sms
(9)
Love Hindi Sms
(143)
Love SMS
(21)
Masti hindi SMS
(24)
Mobile Hindi Sms
(20)
Nonsense sms
(4)
Sad Hindi Sms
(24)
shayari hindi sms
(1)
Sms On Dil In Hindi
(45)
Sms On Khoobsurati In Hindi
(4)
Sms On Madam In Hindi
(1)
Sms On Mahobbat in Hindi
(7)
Subscribe to RSS feed!
Follow me on Twitter!