Saturday, November 22, 2008

Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai

"Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi

Hum ne jab kiya dard-e-dil ko baya

Hum ne jab kiya dard-e-dil ko baya, to sher ban gaya,
Logo ne suna wah wah kiya, dard aur badh gaya.
Mohobbat ki paak rooh mere shero me hai,
Ek likha gam kam karne ke liye to gam aur badh gaya.

Saza mili hai humein muskurane ki

Bahut tamanna thi, pyar mein aashiyana banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai, jo aaj hai aankhon mein aansoo,
Saza mili hai humein muskurane ki !

wo sochte hai dil hamara dukhta nahi

Dariya wafaoo ka kabi rukta nahi,
Mohabat me insaan kabhi jukta nahi,
Hum chup hai kisi ki khushi ke liye,
aur wo sochte hai dil hamara dukhta nahi.

Apno ne Zehar ka jaam de diya

Apno ne Zehar ka jaam de diya,
Gairon ne Bewafa naam de diya.
Wo jo kehte they bhul na jana hume,
Aaj unhone hi bhari MEHFIL
me ANJAAN keh diya hain

Jab ankh khulegi Tanhai hi milegi

Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi...
Wafa kar lo chahe jitni Bewafai hi milegi...
Jitna marzi kisi ko apna bana lo,
Jab ankh khulegi Tanhai hi milegi !

Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le

Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai.
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai'
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le.
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai.

kuchh beete hue lamho se mulakat hui

kuchh beete hue lamho se mulakat hui

kuchh tute hue sapno se baat hui

yaad jo karne baithe un tamam yaado ko

to aapki hi yaado se shuruat hui

E khuda mere dosto ko salamat rakhna


Katl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai

Mere Jine ke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai .

Dil Ke Kalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai.

Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen,

Katl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai

Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge

Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge

Yaad Ko Unki Dil Se Juda Hum Karenge

Itna Chaha Phir Bhi Yakeen Nahin

Aise Zindagi Jee Kar Kya Karenge

Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote

Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti

Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote

Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna

Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote

Har khushi kam hai Tera gum bhulane ke liye

Har khushi kam hai,

Tera gum bhulane ke liye,

Ek tera gum hi kaafi hai,

Mujhe umr bhar rulane ke liye

Kaash who nagme hame sunaye na hote,

Kaash who nagme hame sunaye na hote,

Aaj unko sun kar aansu aye na hote.

Agar isi tarah bhool hi jaana tha,

To itni gehrai se dil me samaye na hote.