Wednesday, November 12, 2008

Hum hai ki ek umar se soye hi nahi

Palko ke kinare humne bhigoye hi nahi,

woh sochte hai hum roye hi nahi,

woh puchte hai khwabon me kise dekhte ho,

hum hai ki ek umar se soye hi nahi

Dekhi hai humne duniya jahaan husne-e-bazar ke

Dekhi hai humne duniya jahaan husne-e-bazar ke,

too wahin ruk jaye hamari nazar ye itni sasti nahi,

koi hoor, koi noor ya koi zannat ki pari ho to kya,


dava hai hamara tik jaye tere samne aisi koi hasti nahi

chali ja meri nazro se door

Darta huin kahin main pagal na ban Jau,

teekhi nazar aur sunahre roop ka kayal na ban Jau,

ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujhe per,


chali ja meri nazro se door kahin main shayar na ban Jau

Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah

Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah

Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye

Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale

Teri Rahon main phool bhichane ke liye

khuda jaane aaj kis kis ki shamat aye hai

Na misaal milegi tere husn ki iss kaynaat main,

tu itni kasis bhari khoobsurti kahain se layi hai,

labo hain maykhane aur ankhain chalakte pamane,

aye khuda jaane aaj kis kis ki shamat aye hai.

Unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain

Unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain,

vo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,

ishq to unko bhi hai humse ye jaanta hain hum,

phir bhi na kah kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain

Gum-e-ulfat main hum had se gujar gaye

Gum-e-ulfat main hum had se gujar gaye,

ki unke ishq main hum deewane ban gaye,

humne to sunai thi apni daastain-e-dil unko,

vo zalim samjhe gazal aur wah wah kar gaye

Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the

Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,

yaad unhe din rat kiya karte the,

ab un raho se guzra nahi jata,

jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.

Kisiko apna banane me der lagti hai,

Kisiko apna banane me der lagti hai,

ek vada nibhane me der lagti hai,

pyar to pal bhar me ho jata hai,

magar unhe bhulane me umar lagti hai.